Ye kitaab akele ki gai yatraao ko theek se samajhne ka prayas hain. Ekal
yatraayen kisi ke saath ki gai yatraao ki theek vipareet disha mein jaati hain.
Ekal yatra aksar aapko ghanghor uljhan aur asehejta ke theek madhya mein
chhod deti hain. Saraa bikhra pada chhodkar jab hum akele yatra par sach ki
talaash mein nikalte hain tab ye pata nahi hota ki bhaagkar aakhir hum apne hee
nij mein aa pahuchenge.
Is kitaab ka likha usi nij ke daayre me dobara pahuchkar use ek aakhri baar
choo lene ka prayas hain. Sara kuch theek se samajh lene ka prayas hain jo is
yatra ke dauraan beej ki tarah bheetar boya jaa raha tha. Ye kitaab unhi beejo ke
saalo baad ped ban jaane ke Anubhav jaisa kuch hain. Unki chhanv me kuch
samay bitaakar aage chal dene jaisa kuch hain.
Read More
Specifications
Book Details
Imprint
Hind Yugm
Publication Year
2022 October
Book Type
Travelogue
Contributors
Author Info
Chetan Dange ka janm Pune mein hua. Parvarish avam padhaai bhi Pune mein hui. Apne
mahavidhyalayeen samay me unhone likhna shuru kiya. Shuruvaat natak aur Kavita se hui.
Baad me unhone advertising ke kshetra mein copywriter ke taur par saat saal tak kaam kiya.
Naukri jab ek tarh kee baadha lagne lagi tab unhone Naukri chhodkar yatra karna shuru kiya.
‘Baahar Se Bheetar’ usi samay kee gayi ek lambi yaatra ka lekha-jokha hain. Yatra ke saath
saath Chetan pichle 11 saalon se Mumbai me Hindi avam Marathi television aur filmo ke liye
bataur lekhak – Screenwriter kaam kar rahe hain. Isse pehle unki do kitaabe – ‘Retaad’ aur
‘Saakav’ Marathi bhasha me prakashit hui hain. ‘Baahar Se Bheetar’ Chetan ki teesri aur
pehli Hindi kitaab hain.