chhote sahar k ladke ki do saal ki kamayi hai iss kitaab mein, zindagi k raaste mein kitne tarah k haar yaa jeet mahsus kiye, chaahe vo khud ko behtar banaane ki daud ho ya chaahe thak kar haar jaane kaa khayaal, ishq yaa fir nafrat, ek dum se bado jaise baate karna yaa fir ek dum se bacha ho jaana. hum sab ko dubte waqt sahaara chaahiye hota hai, suljhe hue shabd kisi sahaare se kam nhi, aasaan suljhe shabdo mein uljhi zindagi ko likhne ki koshish ki hai.