Apana Ek Anoogoonj sirf kavitaon ya atukant kavita ka sanklan hi nhi hai varan isme kaviyatri ne apne jazbaat ko Urdoo-Hindi mishrit jubaan se paribhashit bhi kiya hai.Kahin kisi kavita main bantwaare ka dard jhalakta hai to kisi kavita main manviy samvedna parilakshit hoti hai.Kahin kahin kaviyatri ne shringar ras ko bhi apni kavitaon main jagah di hai.Deshbhakti se otaprot kavitaon ko bhi is sanklan main sthan mila hai.Mitti k rang,Prakriti ka shringar,Banaras,Aurat,beti aur na jane aisi kitni hi kavitayen apne naye se kalevar main is sanklan main samahit hain.Aurat k manobhavon aur uske vajood k sangharsh ko bhi kaviyatri ne bhut achche dhang se is sanklan main prastut kiya hai.Ye kavita sangrah ab tak kisi bhi manch par padha nhi gaya hai matlab yah sanklan Arpana Agrawal aur sirf Arpana Agrawal ka hi hai.
Read More
Specifications
Book Details
Imprint
Notion Press
Publication Year
2018
Dimensions
Height
5.5 in
Length
8.5 in
Weight
200 gr
Safe and Secure Payments.Easy returns.100% Authentic products.