Aisa kya hai us jungle mein Jahan har koi Jane se itna darta kyon hai? Agar koi jata bhi hai to subah hote hi nikalta hai aur sham hone se pahle vapas kyon aa jata hai? Rat ko jungle ki sadakon par Safar karna matlab mout ko nyota dena hota hai. Aakhir logon mein us jungle ko lekar itna khouf kyon hai? Jisko bhi puchho to koi kaheta hai ki us jungle mein rat ko koi bhoot-chudel safed sadi mein roti huyi,sisakti huyi ghoomti hai.Koi kaheta hai ki vaha saitan ki koi gufa hai.Vaha agar koi jaye to vapas yaa to pagal hokar yaa lula-langda hokar hi aata hai.Jungle ke baahar logon ki latakti huyi lashe milti hai.Jo koi bhi hai bahut hi khunkhar hai, bahut hi bhayanak hai. Kuchh log yah bhi kahte hai ki unhone us jungle mein kisi adamkhor ko dekha hai jo insaano ko khata hai.Vah hamesha apne pass ek kulhadi rakhta hai.Uske bade-bade baal,Lal aankhein,Bade-Bade nakhoon,Uska nanga Jisma yah sab dekh har koi dar jata hai.Ek baar us jungle mein jakar aane ke baad har taraf apni mout dekhte hai log.Apne aapko Ghar mein band kar dete hai log.Dar - dar ke mar jate hain.
Read More
Specifications
Book Details
Imprint
Notion Press
Publication Year
2022
Contributors
Author Info
"KISMAT" Meri yeh pahli kitab hai.Mujhe bachpan se hi kahaniyan padhana aur sunna bahut achchha lagta hai. Is subject pe mein 11th se kaam kar raha hu.Maine gujarat ke vallabh - Vidyanagar se B.Com kiya hai. Abhi mai apne family business se juda huaa hu. Hamara weding photography ka business hai.
Vaise is kahaani pe main film banana chahta tha. Uske liye maine SWA se teen saal ki membarship bhi leli thi.Yeh kahaani vahan registered hai. Apni script pe film banane ke liye gujarati filmon ke mashhur director dhiren randheja se ek-do mulakaten bhi ki hai.Lekin corona virus ke kaaran vo mumkin nahi ho paya.Prayas jari hai,dekhate hai ab meri kismat mei kya likha hai ?