"Muktidata" yah ek aise noujawaan samar yadav ki kahani hai jo bharat ke ek chhotye se shahar men rahta hai jiska bachpan ghor garibi men bitata hai aur jahan jaatigat bhedbhaaw aur prataadnaa ka use shikaar honaa padtaa hai . uske maataa-pitaa gwaale hain . pittaa ki aaksmik mout ke pashchaat ghar sambhaalne kee jimmedaaree bachpan se hee uske kandhe par aa jaatee hai| par wah himmat naheen haartaa hai | iske pahle tak wah apnee kaxaa men sabse pichchlee bench par baithne waalaa vidyaarthee thaa parantu 10 veen kaxaa men pratham aate hee kaxaa ke anya vidyaarthiyon ki najron men uskaa sammaan badh jaataa hai . use prernaa miltee hai kee sirf doodh benchne se samaaj men pratishthaa naheen milegee . iske liye use achchee shixaa lenee hogee. vah BSF men afsar ban jaataa hai. use uchch braahman jaati kee ladkee sapnaa pyaar karne lagtee hai par uskee shaadee ek dusht braahman se ho jaatee hai . samar use uske dusht pati ke changul se bachaataa hai. isee beech samar kee tainaatee kashmeer men ho jaatee hai . wahan ek kashmiri ladkee anaamikaa pandit usse pyaar karne lagtee hai par uskaa apharan ho jaataa hai . samar use bhee bachaataa hai . yah prem,sangharsh ,ahsa , nirasha, rahasy aur romaanch se bharee huee kahaanee hai .