Zindagi ko jine me jitana majaa aata hai vo utani hi kadavi bhi lagati hai jab zindagi ki vaastavikta se saamana hota hai. Hum sada hi chaahatain hai ki har kahani ka happy ending ho. Ant me hero ko heroine mil jaaye or raja ko raaj mil jaaye. par jab is duniyaan ka rachayitaa kuchh kahaaniyan likhataa hai to vo hamare hisaab se nahi likhi jaati. Vo kahaniyaan hame zindagi ke sach se milavaati hai. Ye kahaani bhi vaastavikta ke karib hai jo batati hai ki jivan me khud ke liye khadaa hona or haunslo ka majabut hona kitnaa jaruri hota hai, kyonki chunotiyaan kabhi bataakar yaa insaan ko dekhakar nahi aati….