Ek aise insaan ki kahani jo chaar sau saal pahle mar chuka tha aur ab jab us maut ki neend se waapas jaagta hai to uske liye sabkuch badal chuka tha… na sirf uske aaspaas ke log, wo saari jagah, uski apni duniya balki uska apna gender bhi, aur sabse badi baat to yeh thi ki ab wo insaan bhi nahi tha. jab kuch sawaal sulajhte hain to dher se naye sawaal khade ho jaate hain… use chaar sau saal pahle ka agar who daur yaad aata hai jahan ek tilasm jaisi jagah par duniya ka ek beshkeemti Khazana maujood tha to sath hi yeh bhi yaad aata hai ki us jagah kai aisi cheezen bhi maujood thin jo sakdon saal baad wajood me aayi thin aur unhen wahan tab hona hi nahi chahiye tha… lekin we vaigyanik tarakki ke ekdam shuruaati daur me us waqt maujood thin.
Read More
Specifications
Book Details
Publication Year
December
Book Type
Fiction Book
Dimensions
Weight
350
Be the first to ask about this product
Safe and Secure Payments.Easy returns.100% Authentic products.