Shakral Ghati ki talash me kiya jaane waala ek romanchak safar— jahan ekaek na sirf duniya ke kai deshon ki dilchaspi paida ho gayi thi, balki jis zameen par wo duniya aabaad thi, wo desh bhi dilchaspi lene se bach nahi saka tha.. aur us duniya ke shikaari, unka shikaar karne ke liye unke intezaar me the.
Wo sangathan jo America tak se bhid kar use naako chane chabwa deta hai, wo bhi is safar ko poora karta hai kyonki use un aliens se koi samjhauta karna tha, jinhone wo tilasm banaya tha aur jo kisi khaas maqsad se un luteron ke zariye duniya bhar se loota ek khazana jama karwa rahe the.
Malang naam ka wo chor, jo saikdon saal pahle duniya bhar se churaai, chheeni aur looti gayi dharohren bikwa raha tha taaki apne un malikon ka maqsad poora kar sake jo is duniya ke the hi nahi. kaun tha ye chor aur kaun the we log jinke paas pruthvi ka bhavishy dekhne ki taqat thi aur jinhone barbadi se pehle sabko chetaane ki koshish bhi ki thi.
Read More
Specifications
Book Details
Publication Year
2023 March
Number of Pages
243
Series & Set Details
Series Name
2
Dimensions
Width
5.5
Depth
0.5
Weight
350
Be the first to ask about this product
Safe and Secure Payments.Easy returns.100% Authentic products.