Kabhi-Kabhi insaan ke sath yeh hadsa bhi ho jata hai ki kisi chot ya jhatke se uski memory ka ek chhota sa hissa hi ghayab ho jaaye aur mushkil ye ho ki usi hisse me kuchh bahut mahatvpoorn raaz dafan ho gaye hon. Aisa hi ek haadsa Sameer ke sath hota hai, jab wo poora ek din hi bhool jata hai aur us din ki gatividhiyan bhi kam hangamakhej nahin thi.
Uski jaan ke peechhe aise log pade the, jo uski aukaat ke baahar ke log they aur uske liye saare ajnabi log they. unka jo sabse aham sawal tha, wo bhi uske liye aboojh paheli tha, jiska koi jawab uske paas nahi tha aur uski agyanta hi uske bade ahit ka kaaran ban rahi thi.
Uske paas iske iske siwa koi chara nahi tha ki wo kisi tarah har janne wale se us bhoole huye din ki bikhri-bikhri baaten ikattha kar ke, unki ek sequence banaye aur us aham pal ko khojne ki koshish kare, jisme sabse mahatvpoorn sawal ka jawab chhupa tha… lekin kya ye aasaan tha?
Uski dimagi haalat se wo log to anjaan the, jinhen usse apne kisi saanaan ki recovery karni thi aur Sameer ki apni koshishon me woh har jagah adanga lagaane ki koshish kar rahe the, jisse uska kaam mushkil se mushkil hota ja raha tha. Use un logon se apni jaan bhi bachani thi aur us khoye hiye din se wi raaz bhi khoj nikalna tha jo uski jaan ka bawal bana hua tha. kya Sameer aisa kar paayega?
Read More
Specifications
Book Details
Publication Year
2023 May
Book Type
Fiction Book
Number of Pages
200
Dimensions
Width
5.5
Height
8.5
Depth
2
Weight
350
Have doubts regarding this product?
Safe and Secure Payments.Easy returns.100% Authentic products.