Jab-jab bhi insaanon aur tilismi taaqaton ke beech koi sangharsh hota hai, toh insaaniyat ki jeet aparihaarya ho jati hai. Lekin kya har baar insaaniyat ki jeet ho paati hai? Kya ho agar insaanon ko bhoot se ladte huye apni-apni hawas aur chaahaton se bhi ladna pade? aur phir bhoot bhi aisa ho ki pata hi na chale ki wo hai bhi ya nahi, tab? Jimmy, Naina, Kiri aur Sam; chaar bhoot-shikari bhatoli gaanv ki yata karte hain, jahan unka mission hai - ek pretbaadhit haweli ko bhoot se mukt karna. Bina kisi sateek yojna ke ve is paheli ko suljhana shuru karte hain aur unki zindagiyaan akalpaneeya paristhitiyon mein ulajhne lagti hai. Apne dar aur khwahishon ke kaaran ek dusre mein uljhe huye ye insaan bhoot ko kaise hara payenge? kya pyar aur hawas, darr aur himmat, dhokha aur bharosa ek sath chal sakte hain? Insaanon aur bhoot ke beech ke is khatarnaak khel mein kaun jeetega? Kya suljhegi ye paheli? Ya ulajhti chali jayengi tamaam khwahishein aur zindagiyaan is paheli mein...