Yah pathyakram 30 dino ka hai, iska tatpary hai ki aap ise prarambh karne ke bad apne kiwan ke 30 din kewal jyotish-shastra ko hi samarpit karenge | jyotish-shastra ka kalewar bahut vishal hai, ise 30 dino me sampurnata se padh lena kabhi sambhav nahi hai | aap is pathyakram me kewal jyotish-shastra ka samany parichay prapt karenge evam kundali ka adhyayan karna sikhenge . Jinko kundali banana sikhna ho ya jinko jyotish-shastra ke anya vidhaon ka gyaan karna ho, ve log shastriya granthon evam paramparagat gurujano ka aashray le . Aajkal computer software ke dwara kundali banana saral hi hai - aap hindu calander, web jyotishi, durlabh jain, parashar light aadi ke software ka prayog karke sahi kundali bana sakte hain . Ek safal jyotishi nanne ke liye is pathyakram ko kanthasth kar lena hoga evam barambar abhyaas ke dwara apne vyavhaar me utarna hoga .