Geeta sabhi padhna chahte hain par Sanskrit ke vidvaan to sabhi hain nahi. Waise to Hindi mein kitni hi teekaayein hain, jinhein padha ja sakta hai, parantu kavita padhne mein jo aanand hai, woh gadya padhne mein kahaan? Phir pady gaaye bhi ja sakte hain aur yaad bhi atisheeghra ho jaate hain.
Geeta Kaavya-Maadhuri mein Geeta ke sabhi 700 mool Sanskrit shlokon ka Hindi shlokon mein padyanuvaad hai. Ek-ek shlok ka ek-ek pady hai aur sabhi pady aath maatraaon ki taal mein nape-tule hain, dhale hain. Isiliye padhne aur gaane mein atyant manoram hain. Dr. Rajeev Krishna Saxena ke is padyanuvaad ko padhiye aur aanand uthaaiye. Apne vichaar humein avashya likh bhejiye.
Main hi prerak aur sharan hoon, janak mitra swaami aur bharta.
Main hi dharta hoon drishta hoon, pralay, amar utpaadak jag ka.
Parth tapaata hoon main bhoo ko, varsha ko main hi barsaata.
Asat aur sat mujh mein, main hi jeevan aur maran ka daata.
Read More
Specifications
Book Details
Imprint
Zorba Books
Publication Year
2025 June 2025
Contributors
Author Info
Hindi kaavya aur lekhan ki prerna unki maa (Dr. Veerbala) aur maama (Dr. Dharmveer Bharti) se mili.