Lekhika ka yah manna hai ki hame apni zindigi ko bhagwan ka diya hua sabse bara vardaan manna chahiye. Iss zindigi mein yun to karne ko hai bahut kuch lekin apne aap ko har mukam par kargar sabit karna chahiye, Hamein apni zindigi ka falsafa pehle se hi malum hona chahiye. Hamein chahiye ki ham apne lakshya par adig rahkar jivan mein aanandit rehna sikhein. Ek vyakti ka kartvya hota hai ki vah apne saath-saath apne parivaar mein apne samaj ka bhi khyal rakhe, samaj ko apne parivaar ka hi hissa samjhe. desh ke vikas v pragriti isi baat par nirbhar karti hai ki ham apne samaj ka, apne rishton ko kis tarah se pirote hain aur dhairya ki dor se baandh kar rakhte hain.