Har vyakti ke jeevan me kabhi-kabhi bahut kathin samay aata hai. Aise samay mann me bahut saare sawaal uthne lagte hain. Aisa mere saath hi kyon ho raha hai? Maine to kabhi kisi ka bura nahi kiya... Phir mere saath hi aisa kyon? Aisa kyon hai ki koi to bahut sukhi hai, koi bahut dukhi? Kya sab kuchh bhagya se milta hai? Kya ishwar apni marzi se kisi ko hansate, kisi ko rulate hain? Aise hi bahut sare sawalo ke jawab dhundhti hui, bahut sadharan-si kahani hai. Bahut samanya logo ki, asamanya prashno ke jawaab khojne ki kahani hai. Ho sakta hai, koi aur bhi isi tarah ke sawalo me uljha ho, koi aur bhi is samay mushkilo se nikalne ka rasta khoj raha ho. Ho sakta hai, ye sadharan si kahani padhkar unhe apne jeevan ki dasha aur disha badalne me madad mil sake.
Read More
Specifications
Book Details
Publication Year
2020
Contributors
Author Info
"Hyderabad ke us hospital me, kai salo tak lekhak ka parichay, Manish Pandey se adhik, “Kshama Pandey ke attendant” ke taur par hi raha. Lagbhag 20 sal ke IT career me Microsoft, Persistent, Government evam anya Companies ke employee ke taur par bhi ek professional parichay raha. Lagbhag 43 salo ke safar me jeevan ka asali swaroop evam uddeshya samajhna, har kathin paristhiti me chhoti-chhoti khushiya dhundhna aur doosro ko mushkil paristhiti se nikalne evam khush rahne ke liye prerit karna bhi ek adhyatmik parichay hai. Fursat ke palo me likhna-padhna-padhaana, bahut-lambi-Car-drive par jana aur biscuits ke sath adarak wali coffee peena bhi ek vyaktigat parichay hai, lekhak ka. Basically Indore ke rahne wale Manish, vartman me Bhopal me niwasrat hain."
Be the first to ask about this product
Safe and Secure Payments.Easy returns.100% Authentic products.