''Yun toh sundarta ka prem se koi len-den nahin hota.. Phir bhi chalta rahta hai. Sadi koi bhi ho.. Janki ki pariksha tab bhi hui thi aur aaj bhi hoti rahi hai. Kahani 'Vishwasghat' har us ladki ki kahani hai, Jo paristhitiyon ke bharose bhagy ko koste huye chali aa rahi paripati ko swikar karne se pichhe hatti hai. Ek beti se lekar beti ki maa banne tak ka safar tay karti hai. Mayke se lekar sasural tak apni chhat dhundhne ka safar tay karti hai. Ladki ka matra ladki hona.. Isse inkar karti hai. Har uttardayitva ka nirvahan karte huye prem ki apeksha rakhna galat nhi hai. Lekin apni ichchhaon se itar jane par pahrej karti hai. prathmiktaon ka hawala dekar kaise aas-pas ki chije prabhavit hoti hai..?? Aur, kaise riston me man-mutav hota hai..?? Aur,phir kaise dimak sendhmari kar vishwas ki jaden hila deta hai..?? Uske baad bhi, Apne aatamsamman ke liye kratavya ke sath khade hona.. Ye aaj ki kahani hai. Agar maa aeisi hai toh beti bhi hogi.. Ish mithak ko todti hai, rudhiwadi soch ko pichhe chodti hai. Hamare samaj me niyam, manyatayen aur rasmen kyun hai.. ise bhi batlati hai. 'Vishwasghat' me aap aam madhyamvargiye pariwar se milenge. Yahan apko 'Ham' milega. Bihar ke riti-riwaj awam parampara se milenge. Aur, 'Vishwasghat' shirshak kyun hai..?? Iske liye apko puri kitab padhni padegi.''