‘Aadhe Safar Ka Humsafar’ ki kahaniyan padhte huwe anayas hi Manto yaad aate hain. Wahin in kahaniyon ki Vishay-vastu Bangla lekhika Taslima Nasreen ka smaran karati hai. Shayad isiliye in kahaniyon ki kathabaddhata aur ravanagi vivaad aur vidroh ke chehre rahe in lekhakon ki agali kadi maloom hoti hai. In kahaniyon mein dangon ki vibhishika, naari vimarsh aur samlaingik sambandhon ke saath-saath madarson aur masjidon mein mazhab ke naam par hone wale yaun shoshan aur maulanawon ke durachar jaise vishayon ko uthaya gaya hai.
Read More
Specifications
Book Details
Imprint
Hind Yugm
Publication Year
2021 December
Book Type
Fiction Book
Contributors
Author Info
1995 mein janme Shahadat ne DU se Hindi Patrakarita mein B.A. (Visheṣ) tathaa Hindi meinn M.A. kiya hai. Rekhta aur NDTV India mein kaam kar chuke hain. Vartman mein Livelaw.com mein karyarat hain.
Guzishta saalon mein inki kahaniyan Hindi sahitya ki charchit aur sthapit patrikawon-Hans, Kathadesh, Kathakram, Pahal, Vibhom Swar, Naya Gyanoday, Udbhawna, Maati, Pakhi, Parikatha aur Aha! Zindagi mein prakashit ho chuki hai.
‘Aadhe Safar Ka Humsafar’ inka pehla kahani-sangrah hai.