Samay-samay pr pathakon ki ruchi ke anusar anek vidwan lekhakon ne bhartiy rajasthani chitrakala ke itihaas pr pustak likhi. Rajasthani chitrakala ke kaalkhand ke itihaas ka gahan tatha vastunishth adhyayan karne ke liye sanchipt vishleshanatmak tatha sukshm tatvon ko likhne ki aavashyakta ka parinaam yeh pustak hai. Itihaas likhne me bhasha badal jati hai tathya nahi badalte. Tathya keval tab badalte hain, jab nayi khoj hoti hai, atah sabhi uplabdh rajasthani pustakon ke lekhak vidyavanon ke prati sadar aabhar vyakt karna mera param kartavya hai. Atah un sabhi vidyavanon ke prati mai sadar kritagyata gyapit karti hun. Jinke likhe kala sahitya ne sabhi ka marg darshan kiya hai. Atah meri aasha hai ki yeh pustak pathakon evam kala me ruchi rakhne wale vidyarthiyon ke liye atyant upyogi evam mahatvpurn siddh hogi.