Dr SD Vaishnav likhit novel ‘Ghongha Basant’ sahitya k eek professor ki kahani par adharit hai jo swapnlok mein gota lagata rahta hai jahan uski mulaqaat jadui ghonghon se hoti hai. Fir unke bataye anusar professor rahasyamayi mani, sundar rajkumari ki khoj karne aur Khamer samrajya ka samrat banne ka sapna liye ek lambi yatra par nikal parta hai. Is beech yatra mein ek videshi mahila ki taraf uska akarshan bhi badhta hai. Ek sath kai saare dwandwa uske bhitar chalet rahte hain lekin ant tak wah rahasyamayi mani tak pahunchne ka prayas jari rakhta hai.