Ye kahani hai Gradious naam ke ek greh ki, jo bilkul hamare greh jaisa hai. unki duniya me bhi dharm aur vigyan ka satat vaicharik sangharsh jaari hai. Unki bhi theek pruthvi ki tarah hi mat-manytayen hain.. ki ye duniya, ye universal system kisi Bendaurah ya Elaah jaisi Ishwareey shakti ne banaya hai aur usne Christofer aur Edvina ke roop me do Kaithiyans planet Gradious par bheje the jinse samast Kaithiyans ka janm hua hai. Log usi Ishwareey shakti ki ichchhanusaar karm karne par majboor hain lekin usne achchhai aur burai chunne ki chhoot de rakhi hai aur usi aadhaar par qayamat ke din sabka faisla hogaaur unhen Havian yani swarg ka sukh ya Shubuga yani nark ki saza di jaayegi.
Unke beech bhi alag-alag dharm hain jaise islaam ke samkaksh farayam, hindutv ke samkaksh veyraism, Cristianity ke samkaksh nibrasism ya Budh, Mahaveer, Muhammad, Isa, Musa, Nooh, Ibrahim ke samkaksh Woodo, Wangti, Thausbat, Babusa, Ruza, Mile, Lua jaise Paigambar aur Elah, Bendaurah jaise alag-alag mat manytaon me sthapit Ishwar hain.
Unme aur hamme ek fark hai, ki ham abhi apne vikas se vinash ki or agrasar, apne ant tak pahunchne ke safar me hain aur we hamse kai sau saal aage us point tak pahunch huke hain, jahan unhone takki to bahut kar li hai lekin theek insaani tarj par vikas aur Technology ki bhookh ke chalte apni khubsurat duniya ko vinash ke kagar par pahuncha diya hai aur planet gradious par kaithiyans ke survival ki koi condition nahi bachi hai aur we kisi naye thikaane ki talash me hain.