Jan Jan ke hridaya mein base mashhoor gaayak Kumar Shanu ke gaaye 51 geeton ke swar aur unki taal sahit aasaan swarlipi is pustak mein prastut hai. Ismein geeton ka prelude aur interlude bhi yatha sambhav diya gaya hai, Geet ke saath bajne vaali ek kord ka ullekh bhi kiya gaya hai. Sangeet ki prarambhik jaankaari rakhne wala vyakti aasaani se in geeton ko apne vaadya par bajaa saktaa hai aur unka aanand le sakta hai.