Garima Varma ka janm Darabhanga (Bihar) mein hua. Patna women’s College se snatak karne ke baad inka safar baadalon ke bich ‘Indian Airlines’ ki viman paricharika (air hostess) ke roop mein shuru hua. Symbiosis se MBA ki degree lekar kuchh samay bataur marketing executiv bhi kaam kiya. Garima pichhle saat saal se America ke Los Angelis shahar mein apne pati aur do bachchon ‘Arjun’ (9 years) aur ‘Vikram’ (5 years) ke sath rah rahi hain. Likhne-padhne ki shaukeen hain aur baadalon ke bich beete dinon ke apne qisson ko apne blog ‘myskydiary.com’ ke zariye pathakon tak pahunchati rahti hain. Bharatiya Nritya shaili Kathak mein parangat Garima America mein bachchon ko dance bhi sikhati hain aur bharatiya ayojanon mein prastut bhi karti hain. Inki yah pahali prakashit kitab hai, jismein inhone apne jivan ke sabse khas pal ‘bachapan’ ko ek sanyukt parivar ke aangan mein palte-badhte dikhaya hai.