Nayan deh ki dehri, nayan jagat shringar Nayan kahein mann ki sada, nayan chetna dwar Doha ek ardhsam matrik chhand hai jismei char charan hote hain. Visham charno (pahla aur teesra) mei 13–13 matrayein aur sam charno (doosra aur chautha) mei 11–11 matrayein hoti hain. Visham charno mei arambh mei prayah jagan (laghu-guru-laghu) taalte hain, lekin yah anivaarya nahi hai. Sam charno ke ant mei laghu maatra ka hona aavshyak hota hai, arthaat guru-laghu. Doha ke madhyamse badi se badi baat sankshep mei kahne hi vidha bahut pracheen rahi hai.. hindi sahitya ke itihas mei bhakti kaal mei prachur roop se yah vidha dekhne ko milti hai–Tulsi ho athva Kabir jinke dohe aaj bhi apni prasangikta apnaye hue samaj mei charchit hain. Samaj mei faili vikritiyon par kuthaaraghat ho.. athva apne swami ke prati bhakti bhara prem samarpan sab kuch kai rango mei ranga aaj bhi sahityakash mei indradhanu ki tarah prabhavaan hokar prakashit hai. Prem ka amolak ras.. krodh ka talkh swar.. samaj mei utthan ki prakharta sabhi kuch doha ki vidha mei dekhne ko mil jaata hai. Maine apne iss sangrah mei kuch alag ya naya kahne ko koi maulik prayaas nahi kiya hai, mera kathan saahitya ke daayre mei bandhe chhand shastra ke anuroop hi kahan ka chota…laghu prayaas hai.
Read More
Specifications
Book Details
Imprint
Notion Press
Dimensions
Width
10 mm
Height
216 mm
Length
140 mm
Weight
272 gr
Be the first to ask about this product
Safe and Secure Payments.Easy returns.100% Authentic products.