‘Nepathya mein’ ek prayas hai jeevan ke kuchh pahaluon ko gungunane ka, kuchh marm ki baat batane ka, aur prem ko vyakt karne ka. Kisi ek vidha (Kavita ya Ghazal) ya kisi ek bhasha (Hindi ya Urdu) ko kendra mein na rakhte huye yah kitaab ek guldastanuma ehasas hai. Ek aisa guldasta jismein rachnaon ko padhne ka anand phoolon ki mehak sadrash bhasha ke kathor vyakaran ki seemaon mein nahin rukta. Bhavnayein mool swaroop mein hi kagaz par utar kar kabhi kavita to kabhi ghazal ban jaati hain. In rachnaon mein saamajik parivesh, samaaj ki kureetiyon aur vartmaan ki jwalant samasyaon se lekar prem ki abhivyakti ko darshaya gaya hai. Paathakgan in rachnaon ko padhate samay na kewal swayam ko is prayas ke prerak rahein bhavanaon ke usi taar se jod sakenge apitu nepathya mein chal rahi is yatra ke sahbhagi bhi ban payenge.
Read More
Specifications
Book Details
Imprint
Notion Press
Publication Year
2020
Dimensions
Height
5 in
Length
8 in
Weight
180 gr
Be the first to ask about this product
Safe and Secure Payments.Easy returns.100% Authentic products.