Pustak Parichay — "Pyari" (Lekhakh: Krishna Awasthi) "Pyari", Krishna Awasthi ki doosri kavya-kriti hai, jo unki aatma ki komal anubhutiyon aur sanvedanaon ki abhivyakti hai. 'Aatmsamarpan' ke baad yah sangrah prem, peeda, smriti aur maun ki un parton ko chhoota hai, jinhein shabdon mein dhaalna kathin hota hai. Pratyek kavita ek bhaavnatmak sparsh hai — kabhi snehil, kabhi prashnavachak, aur kabhi poori tarah maun. Yah pustak un pathakon ke liye hai jo kavita mein khud ko paana chahte hain, aur shabdon ke paar bhi kuchh mehsoos karna jaante hain.