"Pustak Parichay" Kisi insaan ke hak aur mahanta ki yeh kalpanik upanyas hai. Insaan ke do chehre hote hain. Pehla woh chehra hai, jo andar ki bhavna ko bahar nahi darshata hai lekin uske andar bahut kuch chalta rehta hai aur dusra woh jo har kisi ko jaanboojhkar apni sharirik gatividhiyon ke dwara apni bhavnayein darshata hai. Agar kisi insaan ke andar uska atmvishwas badh jata hai, to wahi insaan kuch alag kar pata hai, sthahi roop se woh aage badh pata hai. Is upanyas ke madhyam se hum aap sabhi ke beech sakaratmak aur nakaratmak vicharon ko darshane ka prayas kiye hain. Is upanyas mein kai patra milenge. Inn sabhi patron mein aapko Ramu aur Ramesh namak patra se sikhne ko milega aur aap sabhi pathako ko inn patron se prerna milegi aur atmvishwas badh jayega. Aap sabhi is pustak ko padhe aur apni prakriya avashya de.