Ye ek aise matrix ki kahani hai, jo bahar ki duniya me nahi chalta, balke dimag ke andar banai aisi duniya me chalta hai— jahan kahani mukhy taqatwar paatr doosre kirdaron ko unki marzi ke khilaf kheench lete hain, jahan we unke sath Romance bhi kar sakte hain, unhen Sharirik chot bhi pahuncha sakte hain aur unki jaan bhi le sakte hain.
us duniya me Agashi aur uski sena ki kaali shaktiyon ka varchasv tha aur kuch log un shaktiyon par kaabu pa lena chahte the. lekin kya ye itna aasaan tha? Apne is mission ke peeche Saumik Banarji ne apni umr khapa di aur apna sabkuch tabah kar liya, lekin jo kamyabi mili thi, use kanyabi to nahi kaha ja sakta tha.
Samitra Banarji us Saavri ke sath ek romanchak safar par rawana hota hai, jo sar se paanv tak khud hi ek rahasy thi. Wo apne pita ki khwahish par us Agashi ko jeetna chahta tha jo haqeeqat ki duniya me kahin thi hi nahi, aur jahan thi, wahan bas usi ki chalti thi... kya aisi taqat ko jeetna sambhav tha? ya uska anjam bhi wahi hona tha, jo uske pita ka hua tha.