Suprasiddh Sangeetkar Sachindev Burman ke sangeetbaddh 51 Geeton ki Sargam, Part-1 ka sangrah karne yogya guldasta is pustak ke roop mein prastut hai. Burman da ke sangeetbaddh superhit geeton ke swar aur unki swarlipi Hindi mein is pustak mein laya taal ke saath likhka prastut ki gayi hai. ismein geeton ka prelude aur interlude bhi yatha sambhav diya gaya hai. Geet ke saath bajaaee ja sakne vaali ek chord ka ullekh bhi kiya gaya hai. Sangeet ki prarambhik jaankaari rakhne vala vyakti aasaani se in geeton ko apne vaadya par bajaa sakta hai aur unka aanand le sakta hai.
Read More
Specifications
Book Details
Imprint
University of Utah Press,U.S.
Publication Year
2019
Contributors
Author Info
Vinod Kumar ne geeton ki sargam shrankhla ki anek pustakein likhii hain jo ki sangeet premiyon dwara atyant pasand kii ja rahi hain. Vinod Kumar Post Graduate, Grad. C.W.A hone ke saath hi sangeet ke kshetra mein Synthesizer aur Tabla mein Prayag Sangeet Samiti, Prayagraj se Prabhakar pareeksha pass hain. Geeton ko aasaan tareeke se gaane bajaane mein inki pustakein sahaayak sidh huii hain.