Tahkhana ka arth hota hain, jameen ke niche bna hua kamra. Jis tarah ek makan ke tahkhane me malik apne amulya ratan chupata hain, usi tarah is tahkhane mai lekhak ke kimiti jazbaat chupe hain. Jahan lekhak ne choti choti paktiyon ke madhyam se jikr kiya hain insan ki alag alag bhavnao ka. Yeh kitab ek nichod hai dil se lekr dimag tak ke jazbaton aur khayalon ka. kitab mein prem, vishvaasaghaat, samaaj, jeevan, sambandh, maanav vyavahaar aur maan prakrti kee sundarata ke chhand hain.