zindagi me jab bechainiyo ka bojh jyada badh jata hai, to apne ird-gird ghumte alfaaz aur unse buna jaal marham ka kaam karta hai. 'alfaaz-e-zindagi' me aap aisi rachnaaye padhenge jinhe padh kar shayad aapko lage ki ye zindagi ke kisi na kisi padaav parr hakikat yahi thi. is sangrah me na sirf dard ki baat ki gai hai, balki pyaar ke khoobsoorat ehsaas ka bhi zikr kiya gaya hai. bebasi, zindagi, dard, nirasha, udaasi, ki galiyo se guzarte hue yaahan khushiyo se bhi mulaqaat ki hai.