Jan Jan ke hridaya mein base mashhoor gaayak Kumar Shanu ke gaaye 51 geeton ke swar aur unki taal sahit aasaan swarlipi is pustak mein prastut hai. Ismein geeton ka prelude aur interlude bhi yatha sambhav diya gaya hai, Geet ke saath bajne vaali ek kord ka ullekh bhi kiya gaya hai. Sangeet ki prarambhik jaankaari rakhne wala vyakti aasaani se in geeton ko apne vaadya par bajaa saktaa hai aur unka aanand le sakta hai.
Read More
Specifications
Book Details
Imprint
Notion Press
Publication Year
2020
Contributors
Author Info
Vinod Kumar ne "51 Geeton ki Sargam" shrankhla ki anek pustakein likhi hain jo ki paathakon dwara atyant pasand ki ja rahi hain. Vinod Kumar Post Graduate va Grad. C.W.A. hain tatha ye Prayag Sangeet Samiti, Prayagraj se Synthesizer aur Tabla mein Prabhakar hain. Geeton ko aasaan tareeke se gaane bajaane mein inki pustakein sahaayak siddh hui hain. Inki pustakein Hindi, English aur Western notations mein uplabdh hain.